Masbooq kis tarah namaaz poora karle?

Q: Agar zuhar, asar, eshaa k 1, 2, 3 rakaat miss hojaye tou kis tarah parhna chahiye? 

A: Agar eik rakaat miss huwa to imaam ka doosra salaam ke ba'd khare ho jaaye aur shuroo me thana parhle, phir surah faatihah aur surah aur namaaz ko poora karlo. Agar do rakaat miss huwa to imaam ke salaam karne ke bad do rakaat parhle aur sirf doosri rakaat ke bad tashahhud me beth jaaye. Agar teen rakaat miss ho gaye to imaam ke salaam karne ke bad eik rakaat parhle aur tashahhud me bethe. Tashahhud poora karne par doosri rakaat keliye khare ho jaaye aur uske saath teesri rakaat bhi milaaye. Phir teesri rakaat ke bad namaaz ko khatam karle.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: