Ihtilaam ke kuch sawaalaat

Q:

1. Nightfall hone ke baad mujhe agr me ghusl lekar karu to kya mera ghusl qabool hoga?

2. Nightfall hone ke baad agar me sperm lagi hui underwear ko sirf paani se dho lu to kya ye kaafi hai

3. Nightfall ke baad jo kapde pe mani lag gai ho. Phir wo mani sukh gai ho aur wo kapde pe agar koi dusra kapda touch hojae to kya wo dusra kapda napak hojaaega?

Agar mani lage hue kapde pe gila haath lag gae to napak hoga aur jo mani kapde ko agar dusra kapda lag jaae aur uspe agar gila haath lag jaae to kya wo haath napak hoga?

4. Nightfall sahi me hua hai ya nhi pehchaanu kaise

5. Jab me naahta hu to agar niche ka zameen ka paani mere nahaane ke baalti me chale jaae to kya wo paani napak hojaaega?

6. Nightfall ke baad kya ye zaruri hai ki me apne sharamgaah ko saabun se bhi dho ya sirf paani daalna kaafi hoga? Ya mere jo kapde hai jispe mani lag gai ho wo saabun se dhu ya sirf paani daalna kaafi hoga?

7. Agar kisi ne koi gandi film dekh li aur uska mazi nikal gaya to kya usko ghusl karna farz hoga?

Ladki ko bass dekhne par mazi nikal jaa sakti hai?

Agar mazi nikal gai ho koi bhi condition me to kya ghusl karna compulsary hai?

A:

1. Agar shower se poora jism par paani bahaadiya sar se lekar per tak to ghusal hogaya.

2. Dho kar paani se tar karke aur khoob nichora jaaye yaha tak ke qatraat ka tapakna band ho jaaye. Is tarah se dhona dharoori he.

3. Nahi
Nahi agar mani ka koi athar haath ke oopar ne aaye.

5. Nightfall agar pani quwwat se nkla ho aur ghara sa ho aur itminaan bhi ho gaya to usko kehte he ihtilaam. Au ihtilaam se ghusl karna dharoori he.

6. Agar jism ke oopar koi napaaki nahi aur jism se par karke baalti me chalaa jaaye to napaak nahi hoga.

7. Gandagi dho karke door karna ye dharoori aur kaafi he. Saaboon istimaal karna fardh nahi.

8. Ye bara sakht gunah he. Ghusl karna fardh nahi.

Haa, nikal sakti he.

Nahi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)