Razaa'at dhoodh pilaane se saabit hogi

Q: Agar one month baby ko koi aurat apna doodh pilaye jab keh us k doodh na ata ho to kia is se bhi razaa'at ka rishta qayem ho jata hy?

A: Hurmat e razaa'at saabit hone ke liye doodh pilaana doroori he. Beghair doodh pilaai hurmat e razaa'at saabit nahi hogi. Lekin agar biwi dawa kha kar doodh haasil kare aur phir bache ko doodh pilaawe to hurmat e razaa'at maa ki taraf se saabit hogi, baap ki taraf se saabit nahi hogi. Ye is wajah se he ke baap ki wajah se dood nahi aaya.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: