Khwaab ki Tabeer

Q: Ye khawab mairay cousin nai daikha kai wo jisay chahtay hai us larki nai parrot Green suit pahan rakha hai us ka libas bareek hai wo mairay cousin kai samnay khari hai phir wo larki aur maira cousin bike par ghomnay chalai jatay hai wo fields wali side par jatay hai wahan 2/3 admi kharay hai maira cousin un sai bat karta hai wo larki bhi wahi sath khari hai phr maira cousin ghar a jata hai aur wo larki ko waha sai lana bhool jata hai akela ghar a jata hai wapis anay par wo pareshan hota hai kai wo larki ko wohi bhol aya phir wo usay dhondnay jata hai boht dhondta hai magar wo nahi milti jab wo ghar wapis ata hai to wo larki aur larki ki walida us kai ghar cousin ki walida aur family kai sath baithi hans hans kar batain kar rahi hoti hai is khawab ki kya tabeer ho gi? 

bismillah.jpg

A: Agar larki owr larke ke khandaan nikaah se kush he, to nikaah parhale.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Category: