Secret nikaah ke ba'd waalidain ke saamne nikaah karna

Q: Hamare samaj mai late marriages ki rasm aam hogayi hai. Ab agar ek musalman baalig ladka aur ladki kufu mai nikah kare magar secretly, to kiya nikaah mun'aqid hoga?

Jab kuch saalo baad unke waalidain phir unhe nikaah karne ka kahe,to kiya ye dono aapaas me second nikaah kar sakte he ruswayi se bachne ke liye?

A: Mun'aqid to ho jaayega lekin ye secret marriages me bohot ziyaadah dushwaariyah aur pecheedgiya payda hoti he.

Second nikaah se kuch to hoga nahi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: