La ilmi ki wajah se kisi ghalat kaam karna

Q: Baz daffa hum la ilmi me ya kisi baat ki saheeh information se, ilm na hone ki wajah se ghalat kaam ko saheeh samajh kar kar rahe hote he lekin jab is baat ka ilm hojaaye ke yeh Islam ma ghalat aur na jaiaz he to khood ko uss kaam se rook lete he. Sawal yeh he ke jo kuch la ilmi ya deen ki na samjhi ki wajah se ghalti huwa, us ki kiya saza pakar hogi aur hogi to kitni sakht jab ke Allah se tauba kar li jaye? 

A: La ilmi to koi uzr nahi. Jab dunya me aayae to goya ke Khuda Ta`ala ke raaste me aayae. Raaste me jo gaari chalata he to koi ye nahi keh sakta he me gaari chalane ko maloom nahi. Raaste me jab aaye to qawaaneen ka seekhna dharoori he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)