Kisi peer se bay'at lena?

Q: Kiya har Musalman ke liye ye zaroori he ke wo kisi peer (roohani buzrug) se bay'at ho. Agar koi shakhs aise na kare to uska kiya nuqsaan hoga aur agar bay'at karle to kiya faida hoga?

A: Har musalmaan keliye `aqaaid haqqah ka seekna a`maal saalihah ko haasil karna akhlaaq faadila aur mu`amalaat ko durust karna fardh he. Ab ye faraaidh chaahe kisee buzurg ki suhbat me reh karke ya madrasah me daakhil ho karke ya jamaat me jaa karke isko haasil kare. Aam tor par ye cheeze buzrugaane deen ki suhbat me reh karke haasil hoti he. Tajraba aur mushaada ye he ke ye cheeze beghair murabbi ke haasil karna mushkil he. Leikin haasil karne ke liye shart ye he ke aadmi shaikh ki taleemaat ki taraf poori tawajju de de. Jab tak aadmi tawajju na de de us ko in cheezo ka faaida nahi milega. Lihaza agar aadmi faaida milna chaahta he us ko chaahe ke kissi shaikh ke saath ahad kare ke un ki taleemaat par pukhta rahega aur amal pera rahega. Is ahad ko bay'at kehte he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)