Financial aid ke application me kuch assets chupaana

Q: Agar me ne university ki financial aid application me kuch savings aur assets chupaaye he aur agar mujhe financial aid mili bhi he to uss ka kiya mamla hoga?

Mere walid neik aadmi he aur ham itni ziyada fees (8 lac) de nahi sakte... iss liye chunke university wale assets (jin me jewellery, savings wagera aati he) ko dekh kar bilkul hi nahi dete aur ye chupana zaroori ho jata he aur sab jante he keh yehi mamla he. To phir bhi kiya ye haraam hoga? Agar taubah ki jaye to kais hogi aur iss ka tadaruk kiya hoga? 

A: Agar is maal ka maalik aapko ijaazat de to istimaal kar sakta he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)