Dost ke dukaan me investment karna

Q: Mera eik dost hai jo ke fabric me kaam karta hai sell purchase ka quantity main, main us main paise invest karta hoon, mujhy mere fix amount pe wo profit deta hai lekin wo profit up and down me rehta hai, kabhi 2 hazar kabhi 7 hazar to kabhi 10 hazar. Wo profit Islamic point of view se mere liya halal hai ya haram?

Eik aur baat, main wo profit amount phir us basic amount me add kar k dobara invest karleta hoon kabhi kabhi aur kabhi kabhi wapas ley leta hoon.

A: Agar ye nafa' ka madaar fee sadi ke oopar rakha gaya ho to durust he.

Ye bhi theek he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)