Dargah jaana

Q: Kiya dargah ja sakte he? Waha jaa ke kiya karna chahiye?

A: Agar waha par koi ghalat kaam ya ghunaa nahi ho raha he aur mardo aur aurato ka ikhtilaat bhi nahi to waha jaana jaaiz he. Jis tarah aap qabrastaan me mayyit ke liye dua aur esaal e sawaab karte sunnat tareeqe ke mutaabiq, to yaha dargah par bhi isi tarah kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)