Khwaab ki Tabeer

Q: Maine apni shadi ke liye istikhara ki thi. Maine kai khawab dekhe, mujhe pata nahi iska istikhara se kuch talluq hai ki nahi. Iski tabeer janna chahti hun. 

1. pehlee khawab me dekha ki ek chota sa sehan jaisa tha jo ki masjid ke peeche tha mai kuch ladkiyo ke saath kisi isalami majlis me baithi hun.Tabhi koi aakar kehta hai ki is jagah ko khali karo iski marammat karni hai, hum ladkiyan wahan se chali gayi phir marammat ka kaam hone ke baad wapas aayi to usme kuch khaas tabdeeli nahi thi. Phir maine dakhil hone ke liye apni sandal darwaze par nikali to kisi ne kaha ise bahar mat rakho kho sakti hai to maine use haath me uthakar andar rakh di.

2. Doosre khawab me dekha ki Ek bahot hi boodhi aurat jiske poore baal safed ho chke the aur woh gori rang ki thi ,usne poore safed rang ke kapde pehne the aur sath men kuch aadmi the sabhi ne safed kapde pehne the jo ki udhed umr ke the aur bal kale the sath me chal rahe the. Usme se do aadmi ne us boodhi aurat ko kandhe se sahara diya taki boodhi aurat chal sake.

3. teesare khawab me dekha ki mujhe kisi ne meethai di ,jo ki mai lena nahi chahti thi, lekin zor dene par maine meethai ka dabba khola usme se 2 meethai maine apne liye le li baqi 2 -2 ka hissa apne behan bhaiyaon ke liye chod di.

Ji rishte ke liye istikhara kar rahi hun ,wahan ke loag ache hai lekin maali halat hum se kharab hai,aur koi parshani nahi ahi.

bismillah.jpg

A: Pehle owr teesre khaab ki tabeer ye he ke aap ka rishta ache ghar me hojaiga. Owr dowsre khaab ki tabeer ye he ke har ayk ki zindagi me kisi ne kisi waqt me pareshaani aati he, lihaza hum ku to hamesha sabar karna chaahia owr ayk dowsre ki madad karnachahia.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Category: