Logon ki raqam ku leker bhaag jaana

Q: Ek sahab ne kitab ke karobar mein lagane ke liye is wade per raqam liya ke unhe takriban 8%se  10% fisad ke dermiyan munafa her mah unke raqam per milega.do saal  tak munafa logon ko isi tarah milta raha.Halanke do saal tak unke karobar ka sahi ilm bhi logon ko nahin ho saka. do saal ke baad achanak woh sakhs logon ki raqam leker  farar  ho gaya. Mujhe un  sahab ne apna agent banaya tha. Main logon se unki raqam leker un sahab ke paas pohcha dia kerta tha  aur her mah 8% se 10% fisad ke dermiyan jo munafa mujhe milta ttha woh puri  raqam logon ko de diya kerta tha. Logon ki di hui raqam aur karobar ke talluk ka kagzat bhi bana ker  de diya kerta ttha. Ye kagaz meri janib se hota tha jisme un sahab ka koi zikr nahi hota  tha. Halanke logon ko iska illm tha ke meri haisiyat sirf ek agent ki hai aur raqam un sahab ke paas chala jata tha. Brah-e-karam is tafseel ki roushni mein mujhe hisbe zial sawallat ke jawabat merhamat farmayen ain nawajis hogi.

1. Logon ka mujhse apni raqam ka mutalba kerna jaiz-w-na-jaiz kis derje mein hai.

2. Kya logon ki lagai hui raqam ki adaigi mere zimma zaruri hain. Agar zaruri hain to kis derje mein hain. Halanke meri haisyat sirf ek agent ki thi aur logon ki raqam kafi miqdar mein hain  jis ka lauta pana mere liye mumkin nahin.

3. Kya logon ki behad israr per raqam ki adaigi ke liye zakat ki raqam li ja sakti hain.

4. Logon ka apne raqam ke aiwaz mein meri janib se di jane wali raqam (zakat) ka lena kis derje mein hain jaiz-w-na-jaiz hain. 

bismillah.jpg

A: Agar logo ne aap ku unke wakeel banaya sirf un ke peyse phonchane ke lia owr logo ne baraaheraast us dukaan daar ke saat tijaarat me shirkat ki, to aap daamin nahi honge. 

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)