Waalid ki dukaan un ke wafaat ke bad

Q: Hum 3 bhai aur 2 behne he. Hamare waalid or waalida inteqal kar gayi ha. Hamare 3 ghar he jin me sab bhai apni apni marzi se chale gaye he aur 4 shops he jo mere waalid saheb chor ke gaye he. Mere waalid saheb ki shop he 1 wo rent pe he aur wo mere bare bhai ne aur behno bhi mil ke bare bhai ke naam pe karwa li he. Hum ne kaha bhi he ke ye waalid ki he, is me hamara bhi hissa he. Bari behen ne kaha ke aap ka bara bhai aap ke baap ki jaga he wo hissa de ga. Hum ne bari behen ki kehne pe us ke naam pe kar di.

Aaj 12 saal ka arsa guzar gaya he. Waalid Saheb ki shop rent pe he aur wo rent me hissa nahi deta. Kaafi dafa lar ke dekh liya to wo kehta he ke wo meri he is me kisi ka haq nahi. Me tum logo ko rent ku do meri he shop me he Malik. Hum phir chup kar jate he. Hum laraai jhagra ni chahti. Hum chahte he ke aqal aajaye usse aur sudhar jaye but wo kehta ha jis gharo me bethi ho wo tumhre he bas wo dukhan meri ha or me rent nahi dunga.

Yahaa tak ke wo behno ko bhi hissa nahi de raha he. Wo choti behen ke through kehta ha jo ghar ha wohi ha bas aur dukhan me tum logo ka hissa ni ha or choti behn kehti ha jo ghar ha wo sale kar ke hamara hissa do yahaa tak ke wo bari bhai ko ni kehti he ke hissa do wo sirf hum 2 bhaiyo ko kehti he.

Mera sawal ye he ke is sare scenario me behno ka kitna hissa banta he aur jo bara bhai hissa ni de raha wo ke sath kaya karna chahiye hum bohot parsehan he wo hame kehta ha me tum logo ko udar marunga jaha pani bhi nahi milega.

A: Agar aap logo ne dukaan di ho ke woh aapki numaayindagi kare maalikanah qabdhah nahi dee balke isko sambhaalne keliye sapurd kya ho ke munaasib kiraya daar talaash kare aur dukaan ka intizaam karle to lihaza dukaan unki zaati nahi bani balke eik mushtrak dukaan he. Sab shareek-e-haq he apne haq ke muwaafiq.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)