Maqroodh par zakaat

Q: Mere pass 20 tola sona he jis ka istimaal meri biwi karti he jiski zakaat Indian rupees ke hisab se 20000 Rs he. Iske sath hi mujh par 5 lakh ka qarz bhi he.

Mujhe is qarz ko adaa karne ke bad zakaat deni hogi ya zakaat alag adaa karni he aur qarz alag se adaa karna he? Me zakaat apni tankhwa se nikalta hu. Agar qarz adaa karne ke liye paise jamaa karu to zakaat ke paise kaise adaa karunga. Qarz ki surat me zakaat ka kiya hukam he? Kiya mujhe sona bechna hoga?

A: Jab aap maqroodh ho to aapke zimme koi zakaat nahi. Biwi agar maaldaar he aur uska koi qardh na ho to usko alahidah apni zakaat ada karna dharoori he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)