Qaza namaaz

Q: Meri ammi ka inteqaal ho gaya he. Mera sawaal ye he ke kya me jo farz namaze parhti hoon uska sawab unka bhee pohncha sakti hoon? Unki bohat saari namaze qaza he. Mujhe pata he ke aulaad ada kar sakti he. Meri itni haysiyyat nahi ke me unki qaza namaze parho kyonke meri khud ki bohot saari qaza he. Aap baraaye meherbaano koi hal bata de. Kya me apni qaza chor ke unki parh sakti hoon. Yu namaze qaza huwi kyonke wo bohat beemar rehti thi apni tabiyat se pareshan aur bohot dawaaye laiti thi is wajah se rozay bhee qaza huwe. Baraaye meherbaani koi hal bata de.

bismillah.jpg

A: Aap apni qaza namaaz puri karde.

Agar aap chahe tho apne ma ki taraf se har qaza namaaz ke badle sadaqatul fitr ke barabar kisi faqir ko paise de.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

فالشيخ الفاني الذي لايقدر على الصيام يفطر ويطعم لكل يوم مسكينا كما يطعم في الكفارة (الفتاوى الهندية 1/207)

(ولو مات و عليه صلوات فائتة وأوصى بالكفارة يعطي لكل صلوة نصف صاع من بر) كالفطرة (وكذا حكم الوتر) والصوم (الدر المختار 2/72)

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)