Mayyit ke liye Qadha Namaaz kaise adaa kare

Q: Main ne apni ammi ki namazon ka pooch tha unka inteqaal ho gaya hai aap ne kaha tha ke main apni qaza namazain poori karon aur ammi ke liye aap ne yeh bataya tha ke "Agar aap chahe tho apne ma ki taraf se har qaza namaaz ke badle sadaqatul fitr ke barabar kisi faqir ko paise de." Aap bata saktay hain ke main kiss tarah say sadqa doon kyon ke mujhay nahi maloom ke kitni namzain hain.

bismillah.jpg

A: Agar aap ku Ma'loom nahi he, to andaaza karle owr jo kuch aap ke zehn me aajai to un namaazo ki taraf se sadaqatul fitr ada kare (har namaaz ki taraf se sadaqatul fitr ki miqdaar ada kare). Issy tarah aap apni waalidah ki taraf se istigfaar kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

فالشيخ الفاني الذي لايقدر على الصيام يفطر ويطعم لكل يوم مسكينا كما يطعم في الكفارة (الفتاوى الهندية 1/207)

(ولو مات و عليه صلوات فائتة وأوصى بالكفارة يعطي لكل صلوة نصف صاع من بر) كالفطرة (وكذا حكم الوتر) والصوم (در المختار ج2 ص72)

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)


Q: Mujhay ye poochna tha ke main apni ammi ki aik namaz ka kitna sadaqatul fitr ada karon? Wo Pakistan main rahien thi 51 saal aur 13 saal usa. To main kiss tarhan ada karon ye sadaqatul fitr. Pakistani currency ya usa currency? Mujhay ye maloom karna tha kya amount per namaz hoga?

bismillah.jpg

A: Aap Pakistan me rehte he, chunaanche aap Pakistaani currency se ada kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)