Islam me aurat ka maqaam

Q: Mujhe aap se aurtao ke huqooq ke bare me poochna he ke aurat ka bhi Islam me kiya maqam he.

Me aisa is liye sochti hu ke har taklif aurat ke liye kiyu he? Aurat mard ka sukoon ke liye he, aurat ko aulad paida karni ki taklif di gayi he, menses aur husband wife ke relation me bhi aurat ke liye taklif, har cheez me aurat ke liye taklif he aur phir Jahannum me bhi aurato ki tadaad ziyada hogi mardo ke muqabale me aisa kiyu he?

Aurat kiya ha? Aisa lagta he ke jaise aurat sirf ek istimal ki cheez he aur kuch bhi nahi. Theek ha ke maa ke pero tali jannat he lekin phir bhi baaqi aur mamlat me kiya he? Aurat mardo ko to marne ke bad hoore bhi milengi aur aurato ko kiya mile ga, apna hi shohor to phir mardo ko sirf apni biwi kiyu nahi mile gi unhe kiyu hooren bhi milengi mard ke liye itni aasan aur aurat ke liye itni mushkil kiyu he zindagi?

Me in bato ka saheeh se jawab chahti hu jo mujhe kisi se nahi mil raha he. Aap please mujhe behtar jawaab de ke aurat bhi mard ke barabar he. Beshak Allah ne dono ka baraabar rakha he lekin shaitan mere zehen me bar bar ye sawal lata he ke shayad aurat mard se kamtar ha aur Allah ne dono me insaaf nahi rakha aurat k liye ziada azmaishe lekin phir bhi Jahannum me ziyada tadaad rakhi he. Umeed karti hu k ap mera sawal samajh pa rahy hongy

A: Ye to aapki kotah nazri he. Aapne isko is nuqtah nazar se dekha nahi ke Khuda Ta`ala ne aurat ko is qadar raahat se bakhsha ke kamaane ki mashaqqat se usko maaf kardiya. Musjid me aane se usko maaf kardiya. Maahana hota he to us waqt namaaz bhi maaf hoti he. Aur jannat ka raasta is qadar aasaan kardiya ke kisee wahm aur guman me bhi nahi aasakta ke mahaz namaaz theek se parhti ho aur khaawind ki farma bardaari karti ho to Jaanaat ka raata khula huwa he.

Ye kehna ke aurat ki tadaad ziyaadah he Jahannum, ye to eik moqa ki haalat aur eik haalat Jahannum ko dekhne ke waqt thi. Aur maqsad is hadeeth se ye bataana ke aurato ki kamzori kya he ke aurato uska tadaaruk kar sake, na ya ke unko jahahnnami banaaye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)