Khwaab ki Tabeer

Q: Mera sawal yeh hai ke mujhe Nabi kareem (Sallallah Alayhi Wasallam) ki ziyarat naseeb hui hai khwab main, mujhe unki tabeer maloom karni thi, khwab yeh hai ke mujhe fajar ki azan ke baad khwab aya hai ke main khule asman ke neeche khari hoon aur khwab main time raat ka hai mere saath koi aur bhi hai per maloom nahi koun hai aur hamare aage Nabi paak (Sallallah Alayhi Wasallam) khare hain unki pusht Mubarak meri taraf hai aur ham teeno asman pe daikh rahe hain aur Nabi pak (Sallallah Alayhi Wasallam) hamain hadees shareef ya farman-e-ilaahi suna rahe hain ba awaz aur wo hadees ya farman-e-ilaahi asman pe likhi hui hai. Is khwab ka kya matlab ho sakta hai please bata dain.

bismillah.jpg

A: Ye mubaarak khaawb he. Khaawb ki tabeer ye he ke Rasulullah (Sallallahu Alayhi Wasallam) ki mubaarak sunnat ki itibaa' kare. Aap kamiyaab hojaaenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Category: