Haidh khatam hone par humbistari karna

Q: Periods khatam ho jaye aur ghusal na kiya ho to husband ke sath intercourse haraam he?

Agar bukhaar ki wajah se ghusal na kiya ho to jab tak naha na le intercourse nahi ho sakta? Chahay periods khatam huwe jitne marzi din guzr chukay ho?

A: Agar kissi aurat ki haidh ki aadat das roz se kam he aur aadat par haidh khatam ho jaaye, to jab tak biwi ghusal na kare ya eik namaaz ka poora waqt ghuzar na jaaye, shohar ke liye us ke saath humbistari karna jaaiz nahi he. Leikin agar kissi aurat ki haidh ki aadat poora das roz he, aur aadat par haidh khatam ho jaaye, to is soorat me shohar ke liye us ke saath humbistari karna ghusal se pehle jaaiz he, leikin behter he ke pehle ghusal kiya jaaye phir humbistari ho jaaye.

Agar aurat bukhaar ki waja se ghusal na karsaki aur us ko andesha tha ke agar ghusal kare, to aur bimaar ho jaaye, to is soorat me us ko chaahiye ke tayammum karke namaaz parhe. Namaaz ko qadha karna jaaiz nahi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)