Aurato ko pardah ke saat jo kaam mard karte hai us kaam ko karti he

Q: Kiya larkiyo ko shariat me pardah ke sath jo kaam mard karte hai us kaam ko karne ki ijaazat di hai bila zaroorat? Aaj kal kuch larkiya pardah me reh kar driving, horse riding aur doosre kaam jo bila zaroorat karti hai jaiz hai? Aur kehti hain pardah ke sath sab jaiz hai.

A: Hadeeth shareef me he ke aurato keliye sab se behtar jagah unka makaan aur ghar he. Ghar se baahar nikalna shaytaan ke jaal me phasna he. Jo pardah nasheen aur achchi paak daaman aurato he woh kabhi aysi baat soch bhi nahi sakti. Ye aurate jo school jaaye unka dimaagh kharaab ho jaata he aur ayse wayse logo ke tareeqe aur unke rusoom ke ghulaam ban jaate aur kisee tareeqe se jaaiz banane ki koshish karte he. Haalanke hadeeth saaf he ke aurat chupaane ki cheez he aur jab baahar nikalti to shaytaan logo ko behkaata he unke zareeah se.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)