Munazzam tor par logo ko ikatta karke Quraan khatam karana

Q: Hum jo ye Quraan ka khatam shareef nikalwate he to jo log nahi aate unhe hum paare de dete he to kiya ye jaaiz he? Aur agar koi wo nahi parh pata to doosre farig dinon me parhta he ye jaiz he? Aur ye surah ke khatam shareef me bhi karte he jaise Surah Muzamil aur Surah Yaseen ka khatam shareef.

A: Ye ba qaidah munazzam tor par logo ko ikatta karke khatam karana ye sunnat tareeqah nahi he. Behtar ye he ke sab apni tanhaai me Quraan Shareef ki tilaawat kare. Usme ikhlaas bhi ziyadah hoga aur jiske haq me Quraan ka khatam kya ja raha he usko bhi ziyadah faaidha hoga.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)