Meeraath ke zameen par tameer banana

Q: Mera masla hamara rehaishi house ke mutaliq hai. Jaha hum rehta hai hamara sath hamara chacha bhi rehta hai. Masla kuch is tarah hai ke jis jaga par hum rehta hai wo ghar hamara dada ki property thi, sirf zameen aur aaj us area ma sirf itna gaz zameen ki qeemat 25 se 30 lac hai aur us jaga ko mukamal mera walid na banaya hai. Woh 3 floors hai jis me se 2 kamra chacha ke pas hai air upar ke 2 floors hamara pas hai.

Ab us ghar ki 3rd floor bana huwa ki qeemat 70 se 80. Agar wo bana hewa na hota to us ki qeemat 25 se 30 hai aur mera walid ka ek bhai or 3 behen hai ab aap mujhe kuch is ke wazahat kara. Is me hamara kitna banega aur bakiyo ka kitna?

A: Agar doosre wurasa ki teeb-e-khaatir ke baghayr tameer banaya to ye na jaaiz he. Lihaza doosre wurasa ko bitha kar unko bataye ke tumhara tasarruf ghalat he aur unko unke saheeh hisse bata diya jaaye. Phir agar apna hissah jaaidaad se chaahte ho to jaaidaad hee se hissa diya jaaye aur agar muaawadhah ba teeb-e-khaatir lena he to muaawadhah do.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)