Ghar ki taqseem

Q: Mere susar ne apne paiso se ghar kharida aur wo ghar apne aur apne bhare bhai ke naam kardiya. Bad ma bhare bhai ka intiqal hogaya to susar ne bad ma bhare bhai ke jaga apni bhabi (marhooma) ka naam registered kar diya. Ab susar ka intiqal hogaya he aur bhai ke marhooma zinda he. Sharan ghar ke taqseem (hissa) kaisa hoga?

A: Ye pehle bataao ke jab naam par kardiya to mahaz kaghazaat ki kaarwai keliye ya waaqiatan jaaiad ka aadhi malik banadiya. Bazaahir ye samajh me aati he ke tamleek nahi huwi. Agar waaqiatan bhai ko jaaidad ka aadha maalik banadiya to bhai ke intiqaal se uska hissa bhabi ki taraf muntaqil nahi hota balke uske wurasa ki taraf.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)