Bachcha baligh hote hi shadi karne ka hukum

Q: Bachcha baligh hote hi shadi karne ka hukum hai na yani 14 or 15 years age aur aaj ke modern science aur research ke mutabiq agar bacchi 19 saal ya usse kam me pregnant ho jati hai toh us ke kai saare bimariyan aane ka bahut ziyada chances hote hai jaise, 1. High blood pressure, 2. Kidney problem, aur khoon ki kami waghaira waghaira.

Aur iska bachche per ye asar hota hai hi baccha 40th week me hona hota hai aur wo 37th week me hojata hai jisse baccha poora organs ke sath paida nahi hota kyunki main organs akhri chaar haftoun me hi bante hai aur baccha bahut kam weight ka hota hai. Aur ye practically bhi sabit hai toh kya is wajah se nikah me takhir ki ja sakti hai. Aur Huzoor Paak sallahu alihi wasalam ke zamane me baligh hote hi shadi kardete the na toh jab ye problem thi ya nahi? 

A: Shaadi me teen cheezo ka khiyaal rakaha jaaye. Eik he istitaa`at-e-maali, doosri sihhat aur teesri baat zimme daari. Agar ye teen cheeze paaye gaye to shaadi me takheer nahi karna chaahiye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)