Islam me caste system

Q: Log ye mante hai ke Sayyid ka matlab wo upper caste hai (ya'ni unche khandaan ke) aur log kehte hai ke Islam me bhi caste discrimination hai jaise Hindus me hota hai. Kya ye saheeh hai? Aur log kehte hai ke Huzoor (sallallahu alaihi wasallam) ne Sayyid ka bohot baraa martaba bataya hai. Kiya ye saheeh hai?

A: Hamare yaha discrimination nahi. Thawaab aur umoor-e-khayr me sab baraabar he. Samaj ki sahoolat ki pesh nazar, in umoor ki riaayat ki jaati he. Har giz kisee musalmaan ki jee me ye baat nahi aati ke ham oonche khaandaan me hone ki wajah se Khuda ke yaha maqaam aur martabah me ziyaadah ooncha he. Maqaam aur martabah mahaz amal aur thawaab par mabni he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)