Baaligh hote hee shaadi kar lena

Q: Islam me baligh hote hi shadi karne ko kaha hai? Lekin ye sab log jaante hai ke male (boy) ki height baligh hone ke baad hi barti hai, lekin agar wo baligh hote hi shadi karde aur phir ek saal me usse bachhe ho jaaye.

Ye toh sab jaante hai ke choote bachhe bahut satate hai, toh agar wo admi baligh hote hi shadi karle aur phir usse bachhe ho jaye toh uski neend sahi nahi hogi, jiski wajah se us ki height par bhi asar parta hai, jaise ke sab jaante hai ke height sote waqt hi barti hai. Jab hormones ziyada se zyada release hote hai aur neend bahut zaroori hoti hai height growth ke liye. Toh jab admi baligh hote hi shadi karle toh us ki toh height hi ruk gayi. Hame is mas'ale par baar baar ishkaal hota hai.

A: Ye ishkaal mahadh zehni he haqeeqi nahi. Ye koi mas'alah nahi ke baaligh hote hee shaadi karle. Balke buloogh ke saath istita'at aur zimme daari ka ihsaas aur shaadi ke huqooq aapko ada karne ki quwwat rakhna ye sab dharoori he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)