Company ka maal khareed kar kam qeemat me bechna

Q: Mere husband jis company mai kam kartay hain wo unko ik makhsus raqam dete hain koi product khareednay k liye. Mere husband ne us product ka discount code dhunda or kum price mai khareed lia ab jo raqm bachi hai wo khud rakh saktay hain ya company ko wapis de dain. Jab ke company ki pata hai ki product kum peso mai b khareedi ja sakti hai or hamare halat bhi ziada achay nahi qarz ki adaigi bhi karni hai or 4 bachay hain jin mai se 3 school age ke hain magar admission fee ki wajhe se nahi ja rahe.

A: Agar company ke zimedaaro ko maloom he aur wo unko baaqi paise rakne ki ijaazaat de, to jaaiz he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)