Biwion ke darmiyan barabari

Q:

1. Agar doosri biwi ka pehli biwi ko pata nahi to us waqt tak dono bewion main adal karna laazim hai?

2. Deen main pehli biwi ko batana zaroori nahi k doosri bhi biwi hai. To aisi soorat main barabar k din (waqt) kaisey taqseem hoga? Kiya us per ALLAH ki pakar nahi hogi?

3. Kiya doosri biwi ko wohi sab kuch bhi dena laazmi hoga jo uski (doosri biwi) ki shaadi sey pehley us k husband ki pehli biwi ko dey chuka hai?

A:

1. Jee haa.

2. Barabari har haal me dharoori he chaahe pehli biwi ko maloom ho ya na ho. Agar barabari nahi karega to yaqeenan Khuda ke yaha pakar hogi.

3. Shadi ke bad barabari karna dharoori he. Shadi se pehle jo pehli biwi ko diya gaya usme barabari karna dharoori nahi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)