Kuch aayate ka mansookh hone ka matlab

Q: Aik dost se kal sunna ke un ke knowledge mai ye baat aayi hai ke Quraan e Paak ki kuch aayaat Sahaabah e Kiraam (radhiyallahu anhum) or Nabi e Paak (sallallahu alaihi wasallam) ko bhula di gae thee. Mansookh aayat ka to andaza tha par kya es baat mai koi sadaqat hai or unhy reference nahi pata tha par keh rhy thy ke Quraan e Paak mai bhi is baat ka ishara hai ya zikr hai kisi aayat mai. Rehnumai farmayen or agr kuch ghalt likha gya to Allah se maafi ka talabgaar hu.

A: Isme to sab ka ittifaaq he ke kuch aayate mansookh hogaye. Aur jab mansookh hogaye to mansookh-ut-tilaawah aur mansookh-ul-hukm he. To ye bhulayi jaati he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)