Allah Ta'ala hi ke liye ibaadat karna

Q: Agar koi insaan yeh soche, yaa yeh kahe kisi ko ke, me Allah se darta hoon beshak, lekin me dozakh kay dar yaa jannat ki khuwaish kay liye ibaadat nahin karta. Mera Allah ibaadat kay laik hai isi liye me ibaadat karta hoon.

Kya aise kahna yaa sochna gunah yaa ghalat hoga ?

A: Ye baat saheeh he. Hum Allah Ta'ala ki ibaadat ke liye paida kiye gaye. Leikin Allah Ta'ala ne hume hukm diya ke jab hum ibaadat kare to hum ibaadat ke thawaab ke ummeed waar rahe, aur ibaadat ka thawaab Jannat ka milna he, aur Jahannum se najaat paana he.

Lihaza agar hum Allah Ta'ala ki ibaadat kare is baat ki umeed rakte huwe ke Allah Ta'ala hume ibaadat ke badle me Jannat naseeb farmaenge aur Jahannum se najaat ata farmaenge, to is me koi haraj nahi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)