Karobar me jhoot bolna

Q: Mein Japan mein business krta houn. Mein pori koshish krta houn k such bol mein karobar kro lakin phr bhi kabi kabi muu se koi jhot nikal jata hai. Mein bs ye pochna chahta houn k jhot bol kr koi halal chez khared kr ya beche kr jo paise hum kamate hai wo halal hai ya haram hai. Is surat mein sirf jhot bolne ka gunah mile ga ya jhot k sath jo paise hai wo bhi haram ho jae gae. Ye bta djye.

A: Jhoot ka asar kamaai par parega zaroor. Agar wo cheez jo aap ne bhech diya halaal he to kamaai poore thor par haraam nahi hoga, leikin makrooh hoga aur koi barkat nahi hogi. Lihaza sacche dil se istighfaar aur taubah kare aur kuch nafa sadaqah me dede. Issi tarah aainda jhoot bolne se ijtinaab kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)