Jawaani ki umar kab tak he?

Q: Jawani me ibaadat ke jo Fazaail aaye hai.. Arsh ka Saya wagaira, kya ye fazeelat 40 saal walo ko bi milti hai? Jawani ki umar exact kitne saal ki umar kab tak rehta hai? Ye umar shamshi saal ke hisaab se ya qamari saal ke hisaab se?

A: Baz Fuqaha ke nazdeek jawaani ki umar tees sal tak he awr baz ke nazdeek chalees saal tak. Saal se murad qamari saal.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)