Ram ka lafz bolna

Q: Mery husband ne mery sath mazaq k doran Indian song ka ye jumla bola "kaya karu ram mujy budhi mil gai". Me ne une bola k aap ne ye jumla kayn bola is me lafz ram ata ha jo Hindu bolty ha. Mery husband ne bola k mera is taraf dayan nahi tha me ne bagair sochy samjhy ye jumla bola ha. Mery husband kaam pe chaly gay jab wo raat ko wapis ay tu me ne un ko bola k ap ne din time jo gana gaya tha wo theek nahi tha. Mery husband ne bola konsa gana mujy yaad nahi raha. Me ne uny bola k ap mery sath tajdeed e nikah karo is par mery husband ghussa hony lagy uno ne bola me ne koi asa kaam ni kia k tajdeed e nikah karu. Me ne uny bola ap ne gany ka wo jumla bola ha uno ne zid me ur ghussy me bola me phir wo gana gao ga. Uny gany k ilfaz yaad ni thy. Me ne uny bola k ap ne asa kayn bola k me phir wo gana gao ga tu uno ne bola tumari zid ur ghussy me asa bola ha. Kaya mery husband ka is tarah bolna kufr ha? Kaya hamy tajdeed e nikah karna pary ga?

A: Jab anjaana, yani ma`na jaane ba-ghayr is tarah bola to usko kufr nahi kaha jaayega. Aur agar ram ka lafz istimaal kya Khuda keliye to agarche ye alfaaz musalmaan ke zubaan par har giz nahi aana chaahiye kyunke hinduwo ke saath kuch na kuch mushabahat hota he, lekin us se kufr nahi hoga. Taubah karna chaahiye aur aaindah ihtiyaat karna chaahiye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: