Biwi talaaq dene ka haq nahi

Q:

1. Maine ek bayan suna tha jis mai ek aurat mazak mai apne shohar ko talaq de rahi thi. Mere dimagh mai ye baat beth gayi thi aur maine apne ap se hi baat kr rahi thi k aurat nhi deskti talaq warna wo kyun khula leti. Tou mai issi baare mai sochte hue mai wo alfaz duhraa rahi thi "talaq deti hoon" likn wo apne shohar ke liye nhi bus aese hi ek function mai bethe bethe soch mai zuban se boldiya jb ke hont nhi hile. Sirf zaban hili. Awaz nhi nikli Isse tou kuch nhi hua.

2. Agar shohar biwi ko talaq ka haq na de aur kbhi is baare mai baat bhi na hui hoo. Tb tbi kiya biwi khud ko deskti.?

3. Kiya kurfiya alfaz ke liye bhi awaz ana zaroori hai ya sirf zunan aur hont se whisper krliya tb bhi hojataa kufr.

A:

1. Yaad rakhe ke ye deeni umoor ka mazaaq uraana ya iska tamaasha banaa karke dekhna ya dikhaana ye bohot hee sakht cheez he. Deen ki kisee cheez ko hasi mazaaq aur tamasha banana apne aapko khatara me daalna he. Taubah karni chaahiye. Aap us se bache aur doosro ko rokne ki koshish kare.

2. Nahi. Biwi talaaq dene ka haq nahi.

3. Agar kufr ka iraadah se kufriya alfaaz kahe chaahe buland aawaaz se ya past aawaaz se to kufr kufr hee he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)

Category: