kya hum aisa bol sakte hain ki Nabi (sallallahu alaihi wasallam) Musalman hain?

Q: Mera man main ye sawal araha hain ki kya hum aisa bol sakte hain ki Nabi (sallallahu alaihi wasallam) Musalman hain?

Aap se gujarish hain ki iss sawal ka jawab dedi Jiye.

Mujhe malum hain ki Nabi (sallallahu alaihi wasallam) toh sare Musalmano ke Nabi hain. Hum unke bataye huwe Deen pe chalte hain toh hum Musalman keh late hain.

A: Ye aysa he jaysa ke koi tujh se pooche ke tum mard ho ya aurat ho. Aapka jawaab kya hoga jabke aapke aulaad ho, darhi ho to aap kya kahenge. Aap to yahi kahenge ke sawaal karne waala diwana he. Tamaam Ambiyaa (alaihimus salaam) paydaishi musalmaan he, Islam hee ke oopar rahe aur Islam hee ke saath dunya se rukhsat huwe balke Ambiyaa (alaihimus salaam) hee ne logo ko Islam ka tareeqah bataya aur dikhaya aur logo ko usee ke oopar chalaya. Is tarah ka sawal karne waala diwana he ya be-wuqoof he. Aur Nabi (sallallahu alaihi wa sallam) tamaam Ambiyaa ke sardaar he. Aap ki zaat ke itibaar se is tarah ka sawaal karna kis qadar na-zeba he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)