Khwaab ki Tabeer

Q: Main nay bohot arsay pehlay ek khawab dekha tha jis men hazrat Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) mery sab say achay dost thay likin mujhay un ki shakal nahi yaad. Jhan main Quran parnay jati hoon hum wahan gai wahan par bohot rush tha wahan ek admi soo rahy thay wo hazrat Abu bakar sidiq thay galti say hazrat Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) ka pao un Kay sath lag gaya aur woh nend say jag gai unhon nay hazrat Muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) ko kaha key tum nay mujhay nend say jagaya ab men tumhay qatal karon ga (naozo billa) main dekh rahi hoon Kay men bohot roo rahi hoon aur unsay key rahi hoon Kay ap mujhay qatal kar dai likin in ko nahi. Hazrat Abu baker nay mujh say kaha kay men un ko qatal nahi kron ga likin tum meri baat ghor say suno us Kay baad unhon nay mujhay namaz Kay barey main kuch kaha likin mujhay yaad nahi phir unhon nay mujhay ek tree ko dekhnay key liya kaha jis men ek urat ki sakal Nazar aa rahi thi main us say dar gai Phir hazrat abu bakar aur hazrat muhammad (Sallallahu Alayhi Wasallam) khan gai mujhay pata nahi aur jis aurat ki shkal men nay tree men dekhi thi woh mery ghar men hai mery ghar me mery bhai ki shadi hai voh aurat mujhay delh rahi thi men nay usay kha tum mujhay kion dekh rai ho please mujhay aesy naa dekho mujhay dar lagta hai us nay kha tumhay mujh say dar kion lagta hai aur haas gai. Yeh mera Kawab hai umeed hai ap es ki tabeer zaroor batayen gai.

bismillah.jpg

A: Apni zindagi ku sunnat ke mutaabiq banade owr tamaam sahaba ke saaat muhabbat kare. Ghalat qisam ki kitaabe, risaale, internet par ghalat cheeze se parhez kar.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Category: