Showhar ke bhai hamare saat rehna

Q: Mera sawal yeh hai ke mere husband har chotti chotti si argument pe mujhe chorne ki baat karte hain. Hamari har waqt arguments hoti hain aur wo apne bhai ko saath rakhna chahate hain aur main unke bhai (na mahram) ke saath ek ghar main nahi rahna chahati to wo mujhe yeh kahte hain agar main nahi rah sakti to main alag hojaon unse. Ham states main rahte hain aur apartment main mere husband ghar main move hona chahate hain kyonke unhe dogs breeding karni hai, per hamare abhi aysi halaat nahi hain ke ham house afford kar sakain tabhi wo apne bhai ko rakhna chahate hain so he can help to pay the rent. Is surat main mujhe kya karna chahiye main koi galat faisla nahi lena chahati ke Allah ki nazar main gunah gaar hojaon. Please help me and advice me islam ki roshni main.

bismillah.jpg

A: Agar aap ke showhar ka bhai rehna shuroo' kare aap logo ke saat, to ihtiyaat ke saath un se purdah ka ihtimaam kya kare. 

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

عن عقبة بن عامر، أن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال: «إياكم والدخول على النساء» فقال رجل من الأنصار: يا رسول الله، أرأيت الحمو؟ قال: «الحمو الموت»  (الطبراني 17/277)

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)