Khwaab ki Tabeer

Q: Mein ne khawab dekha kay hamara ghar buhat bada hai aur aise lagta hai kay jaise mere papa soye huey hain aur mera bhai ka buhat bada kamra hai jis mein bathroom bhi hai buhat acha aur mein uss mein nahane kay liye jaana chahta hoon aur jab mein jaa raha hota hoon tou dekhta hoon kay bhai bhi sonay laga hai aur jab mein wahan bathroom pohnchta hoon tou wahan buhat bada bathroom hota hai jaise lagta hai jaise ghar koi naya ghar hai jis mein shaid kitchen bhi hai aur aur kamre bhi aur buhat roshniyan hain, jab bathroom ponchta hoon tou wahan white paint hua hai aur buhat bada hai lekin bathroom itni achi halat mein nai hai kiunke zameen aur dewaron par buhat khichad aur mitti hai aur aisa lagta hai kay yahan chupkaliyan bhi buhat hongi tou dekhta hoon kay khidki kay bahir buhat moti do chupkaliyan hain aur thoda sa sheesha bhi toota hua hai khidki ka jis se chupkaliyan aik dam ander aa sakti hain aur aise lagta hai kay aur ander bhi buhat zada chupkaliyan hongi wahan, chupkaliyan ander nazar nahin aati lekin aisa lagta hai kay ander bhi chupkaliyan hain buhat se jaise bahir hain aur mein sochta hoon bhai tou in chupkalyon se darta nahin hai aur yeh bathroom use karta hai lekin mujhay tou buhat dar lagta hai, tou mein wahan se chala jata hoon yeh soch kar kay jab naya paint ho jaye ga bathroom mein tou yeh chupkaliyan khud chali jaien gee tou mein phir iss mein aaya karon ga.............kia tabeer hai?

bismillah.jpg

A: Panch waqt ki Namaaz owr sowne se pehle chaar qul owr aayatul kursi parhliya kare. Allah Ta'ala aap ku tamaam shar se hifaazat farmae.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Category: