Khwaab ki Tabeer

Q: Mainy istakhara kia shadi ke lia aik banday ke nam ke kya wo meray lia behtar ha agr mera us sy nikkah hojai. Tu mjhy theek sy kuch yad nahi phir mainy charon taraf sufaid chezain dekheen. Yahan tak k ma kitchen ma apni aik saheli ko le gai tu mainy usay kaha k kitchen saf nahi ha tu kitchen ma jo plates thi wo b khanay wali par sufaid rang ki theen aur mainy usay imli khilai aur khud b khai. Aur mainy dekha k ghar walay bethay hain aur ghar chamak rha ha roshini sy. Aur mainy baad ma dekha aik Banda jisay ma janti hun par wo koi aur tha aur usay sufaid libas pehna hua tha. Aur wo door betha mobile istemal kr rha tha. Is Sab ka kya matlab ha? Istakhara ma tu sirf ishara hota ha phir ya sab kya dikha mjhay.

bismillah.jpg

A: Ye acha khwaab he. Jis larke se aap shaadi karna chaahti, agar wo neak owr aap ke maa baap us ke akhlaaq owr us ke deen se khush, to aap us se shaadi kar sakti.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Category: