Waraasath

Q: Humaray aik bhai ka intekal walid ki wafat say pehlay hua aur aik behan ka intekal walid sahib ki wafat kay baad hua, kya in marhoomeen ka wirasat may hissa (haq) hoga agar haan tou kis ko dya jaye ga (marhoomeen kay shouhar / bewi ko, ya un ki aulad ko)?

bismillah.jpg

A: Aap ka marhoom bhai aap ke waalid ki waraasath se hissa nahi milega kyo ke baap ke intiqaal se pehle un ka intiqaal hogaya. Aap ki marhoom behn ku aap ke baap ke waraasat me hissa hoga kyuke aap ke baap ke wafaat ke ba'd us ka intiqaal hogaya. Un ka wo hissa us ke meerath me jaega owr shar'ee tareeqe par un ke wurasaa ke darmiyaan taqseem hoga.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)