Khwaab ki Tabeer

Q: Mere dow khuwab hai un ki tabeer chahye:

  1. Mera munh mashriq ki janib hai, aur asmaan per dekhta hon keh badlon se aasman pe Kalima Tayyiba likha hoa dekhta h0n, meri sath meri bhabhi aur dosre ghar wale baithe hain, aur main khara hon, main un ko kehta h0n k dekho asmaan pe kalima Likha hai, k0i nhn uthta, dosri bar kehta hon tab bhi koi nahen uthta, last time main ne un se kaha to sb dekhne k liye uthe. Un k uthne ki der thi keh Asmaan se badal aur kalima gaib ho gai, to main apne ghar walon pe sakht berham hoa, main ne kaha main ap logon ko uthata raha lekin tm log nhn ai ab kalima asmaan se chala gaya, phir manzar tabdil hota hai to main ne dekha k 2 chand(moon) hain 1 bara aur 1 chota hai bare chand men Muhammad likha hoa hai, wo main ne apne ghar walon ko dikhaya. 
  2. Main ne khuwab men dekha k 1 bazurg hain aur un ki safaid darhi hai aur unhon ne Green cloth pehne hoe hain. Wo mera hath pakar k kehte hain 1 bar phir mujhe apna hath dikhao, phir meri aankh khul jati hai.... 

Please mujhe in 2 khuwabon ki tabeeren jald bataen Mufti Sabab 

bismillah.jpg

A: 

  1. Ye acha khwaab he. Allah Ta'ala aap ku Deen ke lia qabool farmae owr aap ke zaria aap ke khaandaan ku owr dowsre logo ku saheeh raaste par aane ke lia zaria banae.
  2. Buzrugo ki subah me raha kare owr Allah Ta'ala aap ku Deen ki saheeh samajh naseeb farmaenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Category: