Khwaab me saamp ka dhekna

Q: Main bohot pareshaan hun. Aap please jald az jald is ki tabbeer bata dain takay main pareshani say najaat paon. Mainay khawab main saanp (snake) daikhain hain. khawaab ki tafseeel darj zail hai aur jald say tabeer bta dain tow apki bht shukar guzaar hungi.

Main dakhti hun k mairi ami mairay sath baithi hoti hain un k hath main koi 10 say 15 saanp (snake) hotay hain.  Aur main daikh k darti hun q k un main say ek saanp bar bar meri taraf a raha hota hai. Meri ami kehtin hain k daro nai ya dasnay(katnay) walay saanp nai hain. Aur itni dair main mujhy wo kehtin hain k jao aur saanp (snake) lar k ao fridge say. Main dartay janay lagti hun k itnay main woi snake (saanp) mairay pass ata hai aur ek dam marnay lagta hai lakin main bach jati hun aur ami ko kehti hun k mainay apko kaha thaw. Phir mairay bhai us saanp ko pakar k lay jatay hain aur mujhy ami aur saannp lainay bhayjti hain fridge main say main fridge kholti hun tow smnay
saanp paray hotay hain bht saray zinda ek tokri main aur dar k band kar daiti hun k nai nikaalti inko aur khana wagaiar sb fridge main sath hi rakha hota hai un k. Please main bht pareshaan hun ap jald az jald iska jawab dain tow main apki bht bht shuka guzaar hun gi.. aur ya bhi bata dain ke mainay ya khwab ghar main bhi sunaya hai tow is ka koi asar tow nai paray ga bura?

bismillah.jpg

A: Khwaap me kabi saanmp se muraad dunya ke maal he. Aap ki waalidah aap ku kuch dena chahti, lekin aap ku dar he lene me ke wo maal aap ku aakirat ki yaad se ghaafil ne karde.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Category: