Khwaab ki Ta'beer

Q: Mujhe khwaab ki tabir btayen. Me aaj suba fajar parh kar soi to mene fajar k bd aur suba aat baje k darmiyaan khuwab dkha k magrib ka waqt tha hmre ghar k bhar darkht hy jamun ka usk pattay ghar k andar ki taraf b atey hen kafi ghana darkht hy aur hara b. Magrib k tym mein ghar k andar jo us darkht ka hisa thora bht ata hy us mein hath dal k kch lena chah rae hn mjhy yad nh kia pechy sy awaz ati hy k eswaqt darkht mein hath ksy dal rae ho magrib hy halka andhera b hochuka tha mein dar k hath nkal leti hn. Phr sochti hn hmen to btaya b gya tha k darakht bhaari hy ye. Mein dar jati hn es sy agey mjh yad nh. (Aur waqai haqeqat mein darkht ka hmen btaya gya hy 15din pehle k darkht
bhaari hy ye).

bismillah.jpg

A: Aap apne baal ku hamesha daampe huwe rakhe owr kusoosan asr ke ba'd se lekar maghrib tak ke waqt khule sarse baahar ne nikle. Isy tarah har waqt purdah ka ihtimaam kijia ajnabi mardo se. 

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Category: