Khwaab ki Ta'beer

Q: Mera khwaab-subah 6:30 ka waqt tha. Maine khwaab me dekha ki main aur mere shohar kisi anjaan ghar me hai.Ghar ka colour peeche se hara dikhai de raha hai. Wo mujhse keh rahe hain ki kal raat mujhe yaha bahut darr laga chalo yahan se chalte hai. Woh naha kar towel mein the jaldi nikalne ki koshish mein. Phir achanak unke chehre se ek safed roshni nikli aur main ghabrakar darood shareef padhne lagi. Mujhe ek minute ke liye laga ki koi bhoot ya shaitaan hain. Main dari hui thi. Phir socha ki bhoot ya shaitaan se koi noor nahi nikalta. Aur achanak mere shohar towel se hare libasmain tabdilho gaye. Aur un ke chahere se bahout zyada roshni nikalne lagi. Maine darte huye poocha kaun hai toh bhari aawaz mein jawaab mila ki "main hoon" bas itne mein meri aak khul gayi. Jazaak Allah.

bismillah.jpg

A: Is khwaab ki taraf diyaan ne do. Panch namaazo ke ba'd owr sowne se pehle chaar Qul owr Aayatul Kursi parhliya kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Category: