Khwaab ki Ta'beer

Q: Aaaj fajar ki namaz parh ke soi to mene dkha. Mein apny university ke postgraduate dept gae waha meri cousin sath hoti he jo ke meri khalazad aur chachazad behan hy. Hum ne saath mbbs kia tha. Hm waha jate hen mein ada means clerk ko gold ki choriyaan ki design dkhti hun mobile py order dene k lye wo choti tasverien hoti me sir ny class k lecture mein jo choriyan dikhai wo b dikhati hun ada kehta hy design achi hy but bari tasver hoti to sahe hota. Me usko kehti hun agli dafa print nikalwa ke order dungi. Phir meri jo cousin sath hoti hy me uski shadi ke lye apna dress ordr deti hun. Phir sochti hun full bazo pehnugi uska design hy mre pas pics nikali mobile mein bki kapra nh. 2 shrts mri waha hoti hen. Me kehti hun agli br aungi naya kapra b laungi. Ye sb mra ek classfellow larka dkh k muskura raha hota hy. Me thora hesistate hoti hun kia sochega university mein kaprey aur gold k kam kr rae hy. Phr me n cousin manzar change khala k ghar ati hen universitey sy wapas waha bht rash hota hy. mausam bht khushgawar hota hy. Mjh maza nh ata qk me apne ghar ko yad krti hun. Waha ek cousin kehti hy darya mein pani bhar gaya hy selaab kbi b askta hy rastey band hen koi kahen nh ja skta tb saf pani ka dariya ya talaab nazar ata hy. Me udas ho k sochti hun kash ghar ja skti. Qk mra ghar dosre city mein hota hy. Jo cousin sath hoti usk pas usk walid ka phone ata hy wahen khala k pas ruku nkalna mat. Phr achanak sy me dkhti hun mein dosre shehr jahan mra ghar hy me waha apne ghar ajati hun. Apny kamry mein hoti hun. Me waha soch mein bethi hoti hun. Yad nh kn c. Bhai pochta hy kisi larkey ka tm log pasand krte ho ek dosre ko. Me sar hilati hun han ka. Larka kn pta nahi. Ek kali moti aurat hoti hy ajeb mu bana k dkh rae hoti hy aur sochti hy larka parha likha hy esy manega nh abi shadi ko man jati hun bd ki bd mein dkhenge. Mjh eski tabir bta dien.

bismillah.jpg

A: Har ayk ke dil me khawhishaat hoti he. Lekin apna khawhishaat ku shariat ke hudood me rakhna zuroori he. Ajnabi mardo owr larko se purdah ka ihtimaam kya kare owr dil ku hamesha paak saaf rakhe ayse khiyalo se jo shariat me jaaiz nahe he. Agar koi apni zindagi ku shariat ke mutaabiq guzaare, to Allah Ta'ala us ku kamiyaab banaenge.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Category: