Mazammat aur burai karna

Q: Mufti Sahab mera ek dost hai use zehani pareshani hai uski pareshani badi ajeeb hai..

Baat ye hai ki kuch saal pehle wo kisi ke sath train safar kar raha  tha shaitan us par hawi ho gaya aur usne kisi anjan ladke (amard) samajhkar  thodi musti ki to uske sath walon ko uspar shak hua sirf 2 ghante ka safar tha. Isske 4 saal Baad uski shadi ho gayi par wo  dono shadi main aye the aur kuch nahi kaha ...

Shadi ke 7 mahine baad un logon ne  us ke ghar par aur sasural aur bhi doosre logo ko bol diya hai ki  ye gay (amard pasandagi ) hai -
--aur khaans khaans ke usko tang karne lage ab massala ye hai ki.. Ab usko sab log tang karte hai aur use bahut bura lagta hai-- Khas baat ye hai Uski wife bhi usko ishare ishare main wohi baat karne lagti hai-- jisse usko behud gussa ata hai-- ek baar to usne apne aap ko hi khatam karne ki sochne laga. Baat ye hai wo gay nahi hai wo sachi tauba kar chuka hai ab wo izzat se zina chahata hai Par jab uski wife ke dil mai hi uski izzat nahi rahi to ab wo kya kare? kya wife se alag ho jana chahiye use chod dena chahiye? Ya ghar chor kar kahin chale jana chahiye? Ya iska koi hal nikal sakta hai ? kya wo apne biwi ka dil aur bharosa wapas  pa sakta hai? mufti sahab aap islam ki roshni main uski rehnumai kare usse aisa kya karna chahiye ki uski zindagi fir normal ho jaye?

bismillah.jpg

A: Aurat ko talaaq ne de. Koi samajhdaar aadmi ke paas aap apne biwi ko lejau. Hadeeth me uski sakht mumana`at ayee he, Agar koi musalmaan ghalati se taubah karli to taubah kar lene ke ba`d uski mazammat aur burai ne karo, mumkin ho ke Allah Ta`ala burai karne wale aur ta`n dene wale ko usee gunah me mubtala karde.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)