Gunaah karne ke ba'd towbah

Q: Mera sawaal ye hai ke may ne apne bhai ke saamne apni bivi ki bohat burai kar diya tha ke woh kaam nahi karti or bohat bay dhangi hay or isi tara ki or bohat gheebat kia thha us ke bare may lakan bole dane ke baad may ne realize kia ke mujhe ye sab us ko nahi bolna chaiye tha may ne us ko mana kia ke kisi ke samne mut bolo laken us ne apni bivi ko bata dia, mujhe bohat guilty feel hoa to may ne apni bivi ko bata dia ke may ne tumarhi buraayan us ke saamne kia hon or yeh ke mujh se galaati ho gai hay, tum mujhe maaf kar do may kabhi  dobaara aisa nahi karoonga or Allah say bhi maafi manga, ye ho kar koi 2-3 saal ho gai hay leken mujhe ek sudme ke jaisa ho gia hai, ke abhi tak bohat duukh hoya hai who baat ko soonj kar. Kia is ki koi talaafi hay ya yeh kay sirf sabar karna chaiye? Is bare may marey rahnumai farmaiye.

bismillah.jpg

A: Jab Allah Ta`ala maaf karne wala he to sadma khaane ki kia dharoorat.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)