Madd-e-laazim owr madd-e-munfasil

Q: Main ye janna chahti hun ke tajweed main mad-e-wajib or mad-e-jaiz ko kitna Kitna lamba kartay hain or is ka rule kia hai? Main ne bohat se tajweed ki books pari hain lekin kahin se b nai mila. 2nd main jis se bhi pochti hun wo kehtay hain ke choti mad ko kam or bari ko 5 Se 8 harkat lamba kar lia karo. Kia is ka koi rule hai ya nai? Koi book guide kar dain.

bismillah.jpg

A: Madd-e-Jaa’iz ko madd-e-munfasil bhi kehte he. Uska miqdaar tawassut (do/ dhai/ chaar alif) he.

Madd-e-Waajib ko madd-e-laazim bhi kehte he. Uska miqdaar tool (teen/ paanch alif) he. (Tafheem-ut-Tajweed, p. 323/ 330)

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)