Pareshaani ka hal

Q: Muji demaghi taklef hai. Mera hosila bahot kam hoji hai aur muji raat me nend nahi ati hai. Ye zindage aur mahol muji ache nahi lagti hai. Koi be dunya ke cheez muji achi nahi lagti hai bar bar muji nigative fikre ati hai aur har lama muji istara nazar ati hai ke mein pagal horahi ho aur meri kan mein ajeeb ajeeb awaze ati hai. Agar koi qurani dua ho to zaror send keji.

bismillah.jpg

A: Har pareshaani ka hal Allah ke haat me he. Agar banda apne zindagi ku Allah ke marziyaat ke mutaabiq banai owr sunnat wali zindagi guzaar de to Allah Ta'ala us ke pareshaani dowr karenge, us ku kush rakenge owr har qisam ke taraqqi se maala maal farmaienge. Panch waqt ki Namaaz ki paabandi kare aur apni zindagi ko Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Sunnat ke mutaabiq guzare. Har waqt zabaan aur ankh ki hifaazat kare. Gunaah waali zindagi se bache. Fazaail-e-Aamaal owr Fazaail-e-Sadaqaat ki ta'leem kigia rowzana subah owr shaam. Insha Allah ye pareshaani dowr hojaegi. 

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)