Biwi owr ma ke darmiyaan jagra

Q: Main India se hu or mera sawal hai ke meri shaadi oct 2013 me hui Or maine istekhara bhi kiya tha jisme pehle 2 baar mujhe aisa feel hua k Jawab haan hai, jaise k maine apne aap ko aise dekha k main us ladki k sath Baitha hu us k ghar me, or us ne white duppatta pehna tha, or waisa he milta Julta mere sath us waqt hua jab main use dekhne us k ghar gaya. Ab meri maa gharelu jhagro se kehti hai k teri biwi ki zaban achi nahi hai us Ko talaq de de, Jab k maine dekha hai k wo kutch nahi bolti thi, Jab jhagra bohot badh gaya (takriban 2 months continue) tab meri biwi ne Zaban kholi or wo bhi ammi ke khilaf nahi tha bas wo samjha rahi thi. Meri Wife ka irada kabhi alag hone ka nahi tha, allah gawah hai is baat ka, leking Halat aise hue k alag hona pada. Or us beech meri choti behen ne us k sath galat tarike se baat ki or galat Alfaz istemal kiye jis ki waja se rooz jhagde hone lage, Maine 26/01/14 ko meri wife ko alag kamre main jo k mere ghar k kareeb hai Wahan rakh diya, Magar meri ammi bazid hai k main usko talaq de du or mujhse bhi bohot bohot Naraz hai. Haqiqat ye hai k main ammi ko dukh nahi dena chahta lekin jo ladki mere sath Nikah me hai main uska bhi gunahgar ho jaunga. Agar main usko ek mauka nahi dunga to mujhe apni akhirat ka dar hai ke pata Nahi mere sath kya hoga. Ab meri maa 2 din se mujhse bohot naraz hai or mere sath pure ghar walo ne Rishta tod liya hai. Kya maine galat kiya? Kya main gunahgar ho gaya? Kya main talaq de du? Kya meri maa ki badd-dua mujhe lagegi? Meri akhirat ka kya hoga mere is faisle se? Kya main rooz ghar jaunga to acha hai ya main nahi jau? Kyuki agar jata hu to maa bohot gussa karti hai or na jau to sochegi k biwi Ka ho gaya, Meri jald se jald rehnumayi farmae or dua kare k sab kutch acha ho jae.

bismillah.jpg

A: Aap har giz gunehgaar nahi. Aap sabar se kaam kare aur du`aa bhi karte rahe. Allah aap ke waalidayn aur ristha daar ke dilo ko naram karde.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)